Given here is a good collection of SMS Shayari. Read on to get shayari messages for sending to your near and dear ones.
Fundoo Times: SMS: Shayari SMS

Shayari SMS

SMS Shayari is a unique style to express your feeling to your friends and loved ones. We have compiled a nice collection of SMS Shayari here, which comprises of Urdu shayari, romantic shayari, friendship shayari, funny shayari as well as heartbreak shayari. You can send romantic SMS shayari to your beloved and the other types of shayari messages to those who appreciate poetry. Wait no more! Go through our collection and take your pick.
Jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
Tumko bhi koi shaks yaad ayega,
Tab bhool jaoge zindgi ke gam ko,
Jab hamare sath guzara waqt yaad ayega.
Majnu ko Laila ka SMS nahi aaya
Usne teen dino se khana nahi khaya.
Woh marne wala hai Laila ke pyar mein,
Aur Laila baithi hai SMS free hone ke intezar mein.
Sabne kaha Dosti ek Dard hai,
Humne kaha Dard kabool hai,
Subne kaha is Dard ke saath Ji nahi paoge,
Humne kaha teri Dosti ke saath marna kabool hai
SMS karenge hum ek duje ko bari bari,
Hame Lagti hai yeh rasm badi pyari,
Yeh sms milte hi ek sms bhej dena,
Kyunki hame bilkul pasand nahi udhari.
Teri berukhi ko bhi rutba diya humne
Pyar ka har farz ada kiya humne
Mat soach ki hum bhool gaye hain tujhe
Aaj bhi khud se pehle tujhe yaad kiya humne
Kasur na unka hai na mera,
Hum dono hi rishton ki rasme nibhate rahe,
Woh dosti ka ehsaas jatate rahe,
Hum mohabbat ko dil mein chupate rahe.
Naya saal aaye banke ujala, Khul jaye aap ki kismat ka tala,Hamesha aap pe rahe meherban Uparwala, Chand bhi kare aap par hi ujala…
Her baat samjhane ke liye nahi hoti,
Zindagi hamesha paane ke liye nahi hoti
Yaad to har pal aati hai apki magar,
Har yaad jatane ke liye nahi hoti.
Jab bhi kisi ko kareeb paya hai,
Kasam khuda ki wahin dhokha khaya hai.
Kyon dosh de hum kaanto ko,
Zakham to humne phulo se paaya hai.
Ek jaam ulfat ke naam, ek jaam mohabat ke naam
Ek jaam wafa ke naam, puri botal bewafa ke naam,
Aur pura theka doston ke naam!
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai
Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai
To ankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai
Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai
Pyas bujhti nahin ki barsat guzar jati hai
Apni yadon se keho ki yun na sataya kare
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai
Kabra ki mitti utha ke le gaya koi
Isi bahane humein choo gaya koi
Tanhai aur andhere mein khush they hum
Lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya koi
Daag ansuon se dhoye hain,
Jab bhi tanha huye hain roye hain,
Dil mein kyon na uge yaad teri,
Dil mein tere hi khawab boye hain.
Teri doori ka ehsaas jab satane laga
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga
Jab bhi bhulane ki koshish ki
Tu dil ke aur karib aane laga
Karoge yad ek din is pyar ke zamane ko
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi
To tum bhi tanhai dhundoge ansu bahane ko
Faaslon ne dil ki qurbaton ko badha dia hai
Aaj uski yad ne besabab rula dia hai
Usko shikwa hai k muje yad nahi ati
Jiski yad mein khud ko bhula dia hai.
Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.
Log kahtey hain ki ladkiyan zindagi hoti hain maut nahi,
Magar voh kya jane ki dhoka bhi zindagi deti hai maut nahi.
Tune kuchh bhi na kaha ho jaise,
Mere hi dil ki sada ho jaise,
Yoon teri yaad se jee ghabraaya,
Tu mujhe bhool gaya ho jaise...
Ab umar ho gayi hai dil ki kitab mein
Khusk patton ke siva kuch na raha
Jazbat tamam kho gaye lamho ki dhul mein
Ab dil mein dharkanon ke siva kuch na raha
Na jeene ki khushi na marne ka gam,
Gam hai to unse na milne ka gam,
Jeete hai is aas par kabhi wo humare ho jyenge,
Marte nahi isliye ki wo akele reh jayenge
Tamannaye to dil ki hasrat he
puri ho jaye to hum khush kismat he
na puri ho to gam kya krna
adhuri rehna to tamannao ki fitrat he
Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gum to nibha lenge hum…
Bus tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum….
Aapki aankhon mein hume mil gayi panaah,
Chahe samjho dillagi ya samjho gunaah…
Bhale hi koi hume diwana karar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein Fanaa….